Bahar Kaya Ab Khizan Bhi Muje Gale Lagaye Tu kuch Na Paye
Udaas mosam me muskurana, Na tere bas me Na mere bas me
Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badal jaatay hain !
Hum abhi tak hain giraftaar-e-mohabbat yaaro,
Thokrain kha kay suna tha ki sambhal jaatay hain !
Woh kabhi apni jafa par na hua sharminda,
Hum samajtay rahey pathar bhi pigal jaatay hain !
Umar bhar jinki wafaon pay bharosa keejay,
Waqt padnay pay wahi log badal jaatay hain !
Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badal jaatay hain !
Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !
Hazaron ki tarah sun lay teri rusvaee kay dar say,
Teri tasveer humnay kitabon mein chupayee hai !
Teri masoom surat ki yahi taareef hai sun ley,
Zaban pay hai yahi sabkay khudai hai khudai hai !
Marz yeh ishq ka aisa laga ki phir nahin choota,
Dua bhi humnay ki `Rahi’ dava bhi aazmayee hai !
Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,
Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !
Yaad hai juram,”saza” yaad nahi..
Torr” kar “humsafari” ka rishta..
Wo kahan”chor” gaye yaad nahi..
Apne”girnay” ka “sabab”yaad to hai..
Kis “blundi”se “gira” yaad nahi..
Yaad hai Üs ka”bicharna” hum ko..
Phir humain jo bhi “mila” yaad nahi.!
Aisay mey dil na todo vaaday karo na kal kay !
Chaltay hain woh bhi humsy tevar badal badal kay,
Jinko sikhaya humnay chalna sambhal sambhal kay !
Saqi nay aaj mujko aaisee nazar say dekha,
Mausam hua gulabi rangeen jaam chalkay !
Bistar ki silvato say yeh mahsoos ho raha hai,
Toda hai dam kisi nay karvat badal badal kay !
Thandi hawa kay jhonkay chaltay hain halkay halkay,
Aisay mey dil na todo vaaday karo na kal kay !
Aisee tanhayee ka jawaab nahin !
Gahey gahey isey pada kijey,
Dil say behtar koi kitaab nahin !
Jaaney kis kis ki maut aayee hai,
Aaj rukh pay koi naqaab nahin !
Woh karam ungaliyon pay gintay hain,
Zulm ka jinkay kuch hisaab nahin !
Tum nahin gham nahin sharaab nahin,
Aisee tanhayee ka jawaab nahin !
zindagii tujh se mil kar zamaanaa huaa
aa tujhe aaj ham maikade le chale.n
raat ke naam ho.NTho.n ke saaGar likhe.n
apanii aa.Nkho.n me.n kuchh rat-jage le chale.n
kyaa hassi.n log hai.n
aa.Nkh aaho.n kii hai.n aur lab pankha.Dii
in kii aaraa_ish-e-Khal-o-Khat ke liye
apanii aa.Nkho.n ke ham aa_iine le chale.n
ajanabii chehare me.n dost banate nahii.n
rishte-naato.n kii chaa.Ndii barastii nahii.n
qurbate.n sohabate.n jin kii yaad aayengii
aise kuchh dosto.n ke pate le chale.n
un kii aa.Nkho.n ne jalate sulagate hue
manzaro.n ke sivaa kuchh bhii dekhaa nahii.n
chehara-e-afsos ke sakino.n ke liye
phuul-o-Khushbuu sabaa zam-zame.n le chale.n
zindagii tujh se mil kar zamaanaa huaa
Guruub-e-shaam hii se Khud ko yuu.N mahasuus karataa huu.N
ki jaise ik diyaa huu.N aur havaa kii zad pe rakhaa huu.N
chamakatii dhuup tum apane hii daaman me.n na bhar lenaa
mai.n saarii raat pe.Do.n kii tarah baarish me.n bhiigaa huu.N
ko_ii TuuTaa huaa rishtaa na daaman se ulajh jaaye
tumhaare saath pahalii baar baazaaro.n me.n nikalaa huu.N
ye kis aavaaz kaa bosaa mere ho.nTho.n pe kaa.Npaa hai
mai.n pichhalii shab sadaao.n kii halaavat bhuul baiThaa huu.N
bichha.D ke tum se mai.n ne bhii ko_ii saathii nahii.n Dhuu.NDhaa
hujuum-e-rah_guzar me.n duur tak dekho akelaa huu.N